masnad e gham bichayi jaati hai
bazme matam sajayi jaati hai
ran ko akbar chale to maa ne kaha
umr bhar ki kamayi jaati hai
masnad e gham…
khoon may doobe hai yun ali akbar
jaise chadar udayi jaati hai
masnad e gham…
kisko ghayre hue hai ahle haram
kiski mannat badhayi jaati hai
masnad e gham…
ek rida dedo shah ko kubra
laashe qasim uthayi jaati hai
masnad e gham…
teer gardan pe khalo ay asghar
pyaas yun bhi bujhayi jaati hai
masnad e gham…
yaad aati hai ek nanhi lehad
jab bhi shamma jalayi jaati hai
masnad e gham…
boli zainab utho utho abid
aag ghar may lagayi jaati hai
masnad e gham…
zikre maula ka faiz hai mehshar
teri shohrat jo paayi jaati hai
masnad e gham…