matami fazayein hai aansuon ka toofan hai
dastak-e-ajal sun kar zindagi hirasa hai
har taraf udaasi hai har nigah veraan hai
aur masjid-e-kufa farte gham se larza hai
matami fazayein hai...
aaj gir gaya hoga phir ghilaaf kaabe se
beh raha hai khoon payham shah ke amame se
zakhme farq-e-haider ka ab khuda nigehban hai
matami fazayein hai…
zakhm itna kaari hai chal na paoge maula
ghar bhi jald jaana hai aagayi geleem aaqa
dar pe muntazir zainab muztar-o-pareshan hai
matami fazayein hai…
fikre karbala mein gum hai ali sare bistar
ghaliban nigahon mein hai koi tahe khanjar
dekh kar suye abbas chashm-e-shah giryan hai
matami fazayein hai…
ay wafa skihan kufe be-pidar hui zainab
aaj ghar ke aangan mein nange sar hui zainab
kal jo hone wala hai aaj se numeinam hai
matami fazayein hai…
itrat-e-payambar par sazishon ke ghayre hai
bujh gaya chiraagh aakhir har taraf andhere hai
chand gaam par shahid karbala ka maidan hai
matami fazayein hai…