mayyat khuda ke sher ki suye najaf chali
har samt ek shor hai maula ali ali
mayyat khuda ke sher…
shahzade shahzadiyan baba ko rote hai
haq ke wali ko khalq ke maula ko rote hai
zehra ke ghar may kaisi musibat ye aagayi
mayyat khuda ke sher…
deewaro dar hai nauhakuna shehr soghwaar
sar ko patakte jaate hai maula ke jaanisar
ek tayghe zehr baar ne dunya ujaad di
mayyat khuda ke sher…
mazloomiyat ka haq ka madadgar mar gaya
bewa'on ka yateemon ka ghamkhar mar gaya
mushkil kusha juda hua mushkil ye aagayi
mayyat khuda ke sher…
zainab ki nazrein baba ko payengi ab kahan
kulsoom roti jaati hai le le ke hichkiyan
baba ki yaad aati hai har waqt har ghadi
mayyat khuda ke sher…
lo soghwaron mehre wilayat hai shaam ki
mayyat uthao kaandho par zakhmi imam ki
kehte chalo yahan se najaf tak ali ali
mayyat khuda ke sher…