Mayyat pe Sakina ki ye maa kehti thi ro kar – Sadqe ho maadar
Pardes mein maa lut gayi barbad huwa ghar – Sadqe ho maadar
Majboor hai maa tujhko kafan de nahi sakti – Kuch keh nahi sakti
Afsos ke chaadar bhi nahi hai mere sar par – Sadqe ho maadar
Takiya hai na bistar hai na koi aur bichhona – Kaisa hai ye sona
Bibi tumhe is khaak pe neend aayegi kyunkar – Sadqe ho maadar
Asgher bhi nahi paas ke dil jisse behelta – Kuch bas nahi chalta
Ab tu to khafa hoke na jaa aye meri dilbar – Sadqe ho maadar
Seene pa jawaa’n bete ne jab khaye thi barchhi - Mai dekh rahi thi
Aur zibha huwa saamne mere Ali Asgher – Sadqe ho maadar
Hum karbobala hote huwe jayenge bibi – Dukh payenge bibi
kya kehna jo poochen tumhe abbas-e-dilawar – Sadqe ho maadar
Mai kisse kahun haye meri maang bhi ujdi – Aur kookh bhi ujdi
Merasa kisi ka bhi na howega muqaddar – Sadqe ho maadar