Kaheti Thi Tadapkar Shabbir Ki Duqtar
Pas Apne Muje Ab Bulwao Baba
Zinda Ka Andhera Ek Bibi Ka Nouha
Hain Zulm Musalsal De Kaun Dilasa
Tha Mera Bichouna Baba Tera Sina
Ab Soun Main Kaise Ajao Baba
Marjaongi Pyasi Maagungi Na Paani
Ammu Ko Bulao Main Hogayee Tanha
Ro Bhi Nhi Sakti Soo Bhi Nahi sakti
Kanou Se Abhi Tak Hai Khoon Tapakta
Khati Hu Tamache Ruksar hai Neele
Dekho Tho Ammu Kya Haal Hai Mera
Dushwar Hai Jeena Dam Ghut-Ta Hai Mera
Gardan Ki Rassi Ko Khulwao Baba
Zainab Ne Di Sada Qaliq Ki Duhai
Abbbas Kaha Ho Marti ai Sakina
Zanjeer Me Jakde Abid Hai Tadapte
Ek Bhai Pa Kaisa Ye Waqt Hai Aaya
Bechain Hai Bhai Gurbat Aur Tanhayi
Dam Tod-Rahi Hai Ab Pyasi Sakina
Iss Qaid-e-Sitam Ka Manzar Kaise
Dafan Kaise Karu Hai Andhera