Kanz e Aza

Na Raha Koyi Mera Chahane Wala Zainab

A noha for Imam Hussain (a.s), recited by Anjuman e Shaidae Ali Asghar. Lyrics in Roman Urdu.

Na Raha Koyi Mera Chahane Wala Zainab

Ja Raha Hai TujheAb Chodke Bhayya Zainab

Mere Akbar Ke Kaleje Me Lagi Thi Barchi

Qakh Me Milgaye Tasveer Mere Nana Ki


Kaise Bholunga Mai Akbar Ka Tadapna Zainab

Run Me Pamal Huwa Dilbar-e-Shabbar Ka Badan

Meri Beti Huwi Bewa Jo Abhi Thi Dulhan

Tumko Dena Hai Usse Bhi Tho Dilasa Zainab


Aankh Me Teer Laga Gurz-e-Sitam Sar Pa Laga

Hoke Bedasth Gira Ghode Se Bhai Mera

Mere Abbas Ne Mujko Kiya Tanha Zainab

Tere Bacchon Ka Bhi tho Daag Hai Mere Dil-Par


Ek Hi Din Me Jigar Par Chale Kitne Qanjar

Ab Sonaoun Tujhe Tafseel Mai Kya Kya Zainab

Rahem Khaya Na Kisi Ne Bhi Mere Asghar Par

Mere Haathoun Pa Huwa Zibha Mera Laqte Jigar


Kaise Maa Dekhegi Ujda Huwa Jhula Zainab

Sogaye Dashth Me Sab Chahane Wale Mere

Kaisi Gurbath Me Mera Saath Ye Sab Chod Gaye

Kisko Awaaz Du Ab Kaun Hai Mera Zainab


Sunke Majaey Ki Batain Huwee Bechain Behan

Tha Rasheed Us Gadi Shabbir Ke Lap Pa Ye Suqan

Ab Khuda Hafizo Naser Tera Bhayya Zainab