Kanz e Aza

Mazaar e Zehra

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

baade tadfeen fatema zehra

shor o ghul ye madine mein utha

kyun ali ne hamein na bulwaya

kyun akele hi unko dafnaya

zillatein hum na ye sambhalenge

laash ko khod kar nikalenge

jab ali ne suna to ghaiz aaya

surkh aankhein thi zard tha chehra

muddaton se rakha hua ghar mein

aaj jangi libaas pehna hai

khoon marhab ka hai piya jisne

aaj wo zulfeqar uthi hai

al amaan al hafeez


ye bole khaynch ke talwar faatahe khybar

kisi mein dam hai to aaye mazaar e zehra par


rasan galay mein padi sabr kar liya maine

batool roti rahi sabr kar liya maine

ye hadh hai aag lagi sabr kar liya maine

magar na aaj bachenge tumhare jism pe sar

kisi mein dam hai to aaye mazaar e zehra par

al amaan al hafeez

ye bole khaynch ke talwar...


jahan mein ab bhi shahe zulfeqar zinda hai

sar e batool ka ye tajdaar zinda hai

khuda ke deen ka ek zimmedar zinda hai

abhi jihad ke bhoola hoo mai jauhar

kisi mein dam hai to aaye mazaar e zehra par

al amaan al hafeez

ye bole khaynch ke talwar...


zamana jaan le ek baar phir ali hoo mai

nabi ka nafs hoo allah ka wali hoo mai

ke raaz e maqfi bhi aur aayat e jali hoo mai

mai hi hoo qaatile marhab o qaatile antar

kisi mein dam hai to aaye mazaar e zehra par

al amaan al hafeez

ye bole khaynch ke talwar...


giraya pusht pe darwaza par ali chup tha

rasool zaadi giri khaak par ali chup tha

shaheed hogaya mohsin magar ali chup tha

chali jo taygh hamari to aaj barsenge sar

kisi mein dam hai to aaye mazaar e zehra par

al amaan al hafeez

ye bole khaynch ke talwar...


waqar e ismat o hurmat bhula diya tumne

nabi ki beti ke ghar ko jala diya tumne

qadam jo ek bhi aage badha diya tumne

na daal paoge bewon ke sar pe ek chadar

kisi mein dam hai to aaye mazaar e zehra par

al amaan al hafeez

ye bole khaynch ke talwar...


bataun kaise jo tum ne gunah kar daala

nabi ki beti ko naraaz aah kar daala

hamara hasta hua ghar tabaah kar daala

tadap ke reh gaye bache guzar gayi maadar

kisi mein dam hai to aaye mazaar e zehra par

al amaan al hafeez

ye bole khaynch ke talwar...


hai khoob ajr e risalat ada kiya tumne

ke chote bachon ko maa se juda kiya tumne

zara sa socho to wallah kya kiya tumne

sadayein dete hai maadar ko aah ro ro kar

kisi mein dam hai to aaye mazaar e zehra par

al amaan al hafeez

ye bole khaynch ke talwar...


na dekhi aisi jahan ne ali ki phir tasveer

ke ashk aankhon mein hyder ke haath mein shamsheer

padi thi paon mein ghazi ke sabr ki zanjeer

magar ye kehte thay har ek se sher ke tewar

kisi mein dam hai to aaye mazaar e zehra par

al amaan al hafeez

ye bole khaynch ke talwar...


ajeeb ainee madine ka aah manzar tha

lehad pe zehra ki biphra hua ghazanfar tha

lahoo mein joshe shuja'at malaal dil par tha

fiza mein kehti thi aamir ye taygh lehra kar

kisi mein dam hai to aaye mazaar e zehra par

al amaan al hafeez

ye bole khaynch ke talwar...