raqm hai waqeya tareekh mein logon aise
de chuke ghusl o kafan fatema zehra ko ali
ro ke phir aap ne hasnain se zainab se kaha
aakhri waqt hai dedaar karo maa ka sabhi
sunke baba ki sada aaye hassan aur zainab
aur na mayyat ke kareeb aaye hussain ibne ali
karbala ka hoo mai mehman sada do amma
roke shabbir ye bole ke mai aaunga tabhi
amma amma mehman hoo mai karbobala ka
ek baar sada de ke kaleje se lagalo
dil ko mai sambhalunga mujhe tum to sambhalo
jo aag hai seene mein zara usko bujhalo
hai aakhri dedaar sada deke bulalo
ye hi hoga jeene ke liye mera sahara
amma amma mehman hoo...
pehle hi muqaddar mein bahot ranj o alam thay
ab tum bhi mujhe chod ke jaati ho jahan se
qaboo na raha qalb pe gham toote hai aise
sab jaanta hoo aap ne sadme jo uthaye
kaise bhoolun mai aap ke sadmon ko khudara
amma amma mehman hoo...
ek din mein bahattar ke uthaunga mai laashe
shikwa na magar lab pe mere hoga khuda se
khojayenge is dasht mein sab godh ke paale
asghar hoke ya qasim hoke ya zainab ke dulaare
dunya meri is tarha ujadenge ye aada
amma amma mehman hoo...
chin jayegi har cheez meri dashte bala mein
khoon hoga jawan laal ka zainab ki rida mein
ho jaunga be-aas jo mai dashte bala mein
hal min ki sada goonjegi us waqt fiza mein
us dam koi na aake mujhe dega sahara
amma amma mehman hoo...
khojayenge sab karbobala mein mere atfaal
abbas sa bhai hoke akbar sa jawan laal
hojayega us waqt behan ka bhi bura haal
ho jaunga jis waqt sare dasht mein pamaal
hoga zaamin zainab ke liye naam khuda ka
amma amma mehman hoo...
bazaar mein zainab ko phirayenge sitamgar
har mod pe aulaad e ali khayegi pathar
kaanto pe chalega wo mera abid e muztar
gir jayegi naaqe se sakina meri duhktar
tum hi to phir bachi ko wahan dogi dilaasa
amma amma mehman hoo...
mazhar mai likhun lafz wo khirtaas pe kaise
jab bande kafan khulne lage binte nabi ke
safdar ye kaha bibi ne haye mere bache
lag ja mere seene se mere naazon ke paale
kaise hoga karbal mein mera laal akela
amma amma mehman hoo...