haath pehlu par rakha aur ye zehra ne kaha
mera mohsin na raha
phasliyan toot gayi aise darwaza gira
mera mohsin na raha
phasliyan tootne ka gham hi nahi mujhko koi
qatl pehlu may hui aaj ye aulaad meri
jeete jee maar gaya mujhko bas ye sadma
mera mohsin na raha...
dekha darwaze ke neeche jo mujhe rote huwe
paon darwaze pe rakh rakh ke sitamgar guzre
itni takleef may bhi mai ne bas di ye sada
mera mohsin na raha...
dar jo pehlu se wo fizza ne hataya aa kar
boli zehra mere bachon ko sambhalo jaa kar
uthna mushkil hai bahot zulm ye kaisa hua
mera mohsin na raha...
jab rasan baandh ke gardan se ali ko khayncha
aayi zaalim se bachaane ke liye jab zehra
taaziyana bhi saha par ali se na kaha
mera mohsin na raha...
apna har zakhm ali se bhi chupana hai mujhe
ab isi haal may darbar bhi jaana hai mujhe
kitni majboor hoo mai waqt kaisa hai pada
mera mohsin na raha...
baad baba ke madina yun badal jayega
raah may koi tamacha bhi mujhe maarega
mere baba ka mujhe aise pursa hai mila
mera mohsin na raha...
kham kamar aur mere baalon may safedi hogi
mujh pe athara baras may hi zaeefi hogi
aaj zehra ke liye gham ka aaghaaz hua
mera mohsin na raha...
ab bhi zeeshan ye aati hai baqayya se sada
apne mehdi ko bataungi wo jab aayega
jitne dukh mai ne sahe gham hai ye sab se bada
mera mohsin na raha...