Kanz e Aza

Mola Cheekh Kar Roye

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Bilal Kazmi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

Bawaqte ghusle masooma jo maula chikh kar roye

Na jane kya nazar aya jo maula chikh kar roye


Khuda ke sher ne hans hans ke sare dard sah dale

magar ye dard tha kaisa jo maula chikh kar roye


Sitamgaron ne jane kis tarah binte payambar ko

Daro diwar me peesa jo maula chikh kar roye


Udhar hilne lagi qabre payambar arsh kanp uttha

Idhar bacchon ko ghash aya jo maula chikh kar roye


Tadap kar shabbaro shabbiro zainab ne kiya matam

Padha kulsoom ne nauha jo maula chikh kar roye


Faza me goonj utthi phir sada subbat alayya ki

Bawqte rukhsate zahra jo maula chikh kar roye


Zami,n hilne lagi arshe ilahi gham se tharraya

Hua ik hashr sa barpa jo maula chikh kar roye


Gaye hasbe wasiyyat ghusl dene jab shahe safdar

To tadpa lashaye zahra jo maula chikh kar roye


Belale kazmi socho rasoole haq ki beti par

Huye the zulm akhir kya jo maula chikh kar roye