oqado zaleelan fi damishqa qa annani
minaz zanje abdun ghaaba anhu naseerun
chaayi hui ghurbat ki ghata hai
bemaar pe ye kaisi jafa hai
chaalon se ab tak khoon ris raha hai
aaya hoon haye kaanton pe chal kar
oqado zaleelan...
charon taraf bazaar saje hai
haath pase gardan se bandhe hai
sar ko haram niwaye khade hai
jeene se ab to marna hai behtar
oqado zaleelan...
allah jaane kaisa safar hai
raste mein saaya hai na shajar hai
noke sina par baba ka sar hai
dekhun mai kin aankhon se ye manzar
oqado zaleelan...
qaidi samajh ke tadpa rahe hai
jis raaste se bhi jaa rahe hai
bacche saron par barsa rahe hai
lele ke apne haathon mein pathar
oqado zaleelan...
khaake tamache mujhko hazeena
dekhti hai hasrat se sakina
kehti hai ab pahunchado madina
bhaiya yahan jeena hua doobhar
oqado zaleelan...
aisa sitam dekha bhi nahi tha
kaanton pe mai guzra bhi nahi tha
ye to kabhi socha bhi nahi tha
hogi phupi balwe mein khule sar
oqado zaleelan...
saare badan mein chaale pade hai
talwon mein kitne ghaar chube hai
kitne qayamat ke marhale hai
tauq galay mein paon mein langar
oqado zaleelan...
gham ka samaa aafat ki ghadi hai
paon mein dohri bedi padi hai
har so meri tash'heer hui hai
kaun kahe abbas se jaa kar
oqado zaleelan...
yunhi ada ho gham ka fareeza
hai ye bilal is dil ki tamanna
kar le qubool isko mere aaqa
laaya hoon nauha ashkon se likh kar
oqado zaleelan...