Kanz e Aza

Mohsin ne Kaha Rokar

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Nasir Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

farzande zehra ka tha ye nauha


darwaze ke girne se jo phasliyan tooti hai

mai dekh raha hoo wo kis tarha tadpti hai

hai dard bhara manzar amma hai musibat mein


mohsin ne kaha rokar amma hai musibat mein

pehlu pe gira hai dar amma hai musibat mein


amma ko kameeno ne kuch aise rulaya hai

has has ke layeeno ne darwaza jalaya hai

dil par hai rawan khanjar amma hai musibat mein

mohsin ne kaha rokar...


shaano pa layeeno ne durre bhi lagaye hai

talwar ke qabze se kuch zakhm bhi aaye hai

mehfooz nahi hai sar amma hai musibat mein

mohsin ne kaha rokar...


baba ko bulaati hai ro ro ke meri amma

hyder ko bulaati hai mehdi ko kabhi amma

barpa hai ajab mehshar amma hai musibat mein

mohsin ne kaha rokar...


jalti hui seene mein ek keel chubhi hai jab

yaad aaya hai amma ko akbar ka tadapna tab

akbar ki musibat par amma hai musibat mein

mohsin ne kaha rokar...


irfan hai amma ko meri bhi musibat ka

nasir tha mai amma ka par koi nahi mera

ek keel ke naize se beta hai musibat mein

mohsin ne kaha rokar...