labbaik ya hussain
hussain saarallah abaabdillah
naara laga mere maula hussain ka
matam hua mere maula hussain ka
bich gayi farshe aza maula hussain ki
hoti hai majlis bapa maula hussain ki
ghamgeen nazar aata hai ye chand moharram ka
har ek ko rulaata hai ye chand moharram ka
khoon roke bahata hai ye chand moharram ka
nauha bhi sunaata hai ye chand moharram ka
din aaye hai rone ke ye chand batata hai
kaise ho ghame sarwar ye humko dikhaata hai
mere maula hussain mere aaqa hussain
naara laga mere maula...
kaala libaas pehno ay sheh ke azadaron
ghar par alam sajaalo ay sheh ke azadaron
farshe aza bichalo ay sheh ke azadaron
dunya ko ye batado ay sheh ke azadaron
kyun karte hai ye matam hum aale mohamed ka
mazloom ka maqtal mein khoon kisne hai barsaya
mere maula hussain mere aaqa hussain
naara laga mere maula...
ay sheh ka azadaron ye gham to manana hai
dunya ko ghame sheh ki rudaad sunana hai
jo zulm huwe un par har ek ko batana hai
baatil ke iraadon ko matti mein milaana hai
ab aao kare matam roye ghame sarwar mein
majlis ho bapa sheh ki haq walon ke ghar ghar mein
mere maula hussain mere aaqa hussain
naara laga mere maula...
ab royegi zehra bhi farshe shahe waala par
karna na siyasat tum majlis mein kabhi jaa kar
dekho na dukhe hargiz abid ka dile muztar
kidaar se batlao sarwar ke ho tum naukar
waada ye karo har dum ashkon ko bahaoge
hai maqsad e sarwar kya dunya ko bataoge
mere maula hussain mere aaqa hussain
naara laga mere maula...
akbar ko laga naiza bughze waliullah mein
asghar ka gala cheda bughze waliullah mein
ghazi ko bhi hai maara bughze waliullah mein
qasim huwe sau paara bughze waliullah mein
thi dushmani aada ko hyder se faqat ran mein
is waaste kaata tha sarwar ka gala ban mein
mere maula hussain mere aaqa hussain
naara laga mere maula...
rote hai bahot sarwar akbar ki judaai mein
veeran hua hai ghar akbar ki judaai mein
matam karo seeno par akbar ki judaai mein
rona hai hamein shab bhar akbar ki judaai mein
gham mein ali akbar ke roti hai bahot laila
rota hai bohat kunba jangal mein payambar ka
mere maula hussain mere aaqa hussain
naara laga mere maula...
aaye hai wo din jisme hum jhoola sajate hai
ghazi ka alam lekar jhoole pe lagate hai
nazre ali asghar ka sharbat bhi pilaate hai
bachon ko sabhi apne hum saqqa banate hai
az roze azal nasir waada hai yehi apna
hum madaare asghar ko dete hi rahe pursa
mere maula hussain mere aaqa hussain
naara laga mere maula...