Kanz e Aza

Sarkar Hussain

A noha written by Nasir Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

marhaba ya hussain

haq ka rehnuma hussain

deen ka aasra hussain

ishq ka khuda hussain

noor e kibriya hussain


sarwar ki azadari

hai jaan se bhi pyari

karte hai tujhse waada

sultan hussain maula


shabbir tera matam ahmed ka irada hai

shabbir tera nauha momin ko rulaata hai

shabbir teri majlis hum sab ka sahara hai

har dil mein tu rehta hai ye dil ne pukara hai

sarkar hussain maula sarkar hussain maula

sultan hussain maula sarkar hussain maula

sarkar hussain maula...


kya hoti hai qurbani ye sab ko dikhane ko

sar apna diya tune tauheed bachane ko

ghar baar lutaaya hai deen uska basane ko

kehte hai kise saabir ye tune bataya hai

sarkar hussain maula sarkar hussain maula

sultan hussain maula sarkar hussain maula

sarkar hussain maula...


akbar ki jawani ko qurban kiya tune

asghar bhi diya tune ghazi bhi diya tune

allah re mere maula kya kya na saha tune

deen teri musibat par ashkon ko bahata hai

sarkar hussain maula sarkar hussain maula

sultan hussain maula sarkar hussain maula

sarkar hussain maula...


thi karbobala barpa hyder ki wilayat par

sarwar ne ye batlaya hai apni shahadat par

hai karz ye sarwar ka har ek ibadat par

ab dars ye dunya ko ta hashr sunaana hai

sarkar hussain maula sarkar hussain maula

sultan hussain maula sarkar hussain maula

sarkar hussain maula...


yaad e gham e zainab mein chalna hai julooso mein

ashkon ka bhi nazrana dena hai julooso mein

maqsad ghame sarwar ka padna hai julooso mein

ye jaan bhale jaaye is gham ko bachana hai

sarkar hussain maula sarkar hussain maula

sultan hussain maula sarkar hussain maula

sarkar hussain maula...


taboot o alam saare sarwar ki nishani hai

sehre jo chadaate hai akbar ki nishani hai

jhoola jo uthaate hai asghar ki nishani hai

har waqt ghame sheh ki bas yaad manana hai

sarkar hussain maula sarkar hussain maula

sultan hussain maula sarkar hussain maula

sarkar hussain maula...


ye hatkadi ye bedi zewar hai ghame sheh ka

kaabe ka libaase gham jauhar hai ghame shah ka

jo shaal e aza hai wo gauhar hai ghame sheh ka

arif ne kaha nasir ye sab ko sunaana hai

sarkar hussain maula sarkar hussain maula

sultan hussain maula sarkar hussain maula

sarkar hussain maula...


shaheed hussain

aaqa hussain

maula hussain

rehbar hussain

mehwar hussain

qibla hussain

mera hussain

sab ka hussain

rab ka hussain

hussain