Kanz e Aza

Mohamed ke Shehr

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

ghar kis ka jal raha hai mohamed ke shehr may

yeh kaun ro raha hai mohamed ke shehr may


kaisa ye waqt aaya koi jaanta nahi

beti nabi ki hai koi pehchaanta nahi

mazloom fatema hai mohamed ke shehr may

ghar kis ka jal raha hai...


pyare nabi ne jism ka tukda kaha jise

tazeem jiski karte thay uski hi pusht pe

darwaza gir raha hai mohamed ke shehr may

ghar kis ka jal raha hai...


zehra ko ek dard ka marham na mil saka

kehta hai par har ek musalman barmala

har dard ki dawa hai mohamed ke shehr may

ghar kis ka jal raha hai...


baad e rasool qadr na jaani batool ki

darbar may khadi hai nishani rasool ki

mehroom fatema hai mohamed ke shehr may

ghar kis ka jal raha hai...


baba ke paas beti ki turbat na ban sake

hai koi chashme beena jo insaaf se kahe

ye kya sitam hua hai mohamed ke shehr may

ghar kis ka jal raha hai...


kisne gale may daali hai hyder ke rassiyan

tooti hai kaise fatema zehra ki phasliyan

kya haadsa hua hai mohamed ke shehr may

ghar kis ka jal raha hai...


afsos kalma goyon ne is ko nahi suna

rehta tha jo batool ke honton pe marsiya

wo ab bhi goonjta hai mohamed ke shehr may

ghar kis ka jal raha hai...


allah re baqiyye ki ghurbat wo bekasi

sadiyan guzar gayi hai magar aaj bhi koi

ghut ghut ke ro raha hai mohamed ke shehr may

ghar kis ka jal raha hai...


aamir ye kalma goyon ne socha nahi kabhi

ainee janabe fatema jaan e rasool ki

marqad pe bhi jafa hai mohamed ke shehr may

ghar kiska jal raha hai...