Kanz e Aza

Mere Baba ke Zuljana

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

jab karbobala mein sare shabbir kata

zuljana e shahe wala bhi buka karta raha

uske bhi teer lage baah kati zeen dhala

aise aalam mein suye qaima e shabbir chala

dekh kar usko sakina bhi fughan karne lagi

haye baag ghode ki pakad kar ye bayan karne lagi


mere baba ke zuljana

kya meri yateemi ki tu laaya hai khabar


kar yaad ke samjhaya tha tujhko dame ruqsat

kha jayegi is dil ko mere baap ki furqat

mai roti rahi aur kiya tune safar

mere baba ke zuljana...


kehte thay tujhe baba mere asme wafadar

ye kaisi wafa tune dikhayi mere ghamkhwar

chod aaya unhe dashte bala mein kyunkar

mere baba ke zuljana...


ye dekh mere baalon mein hai khaake yateemi

ab seene pe har saans bhi dushwaar hai meri

aankhon mein meri dekh zara gham ka asr

mere baba ke zuljana...


mai roti rahi aur tujhe tars na aaya

le dekh mere sar se utha baap ka saaya

seene pe mujhe kaun sulayega magar

mere baba ke zuljana...


ye khaake bayaban bani mera muqaddar

ab cheen ke le jayenge bunde ye sitamgar

hai daaghe yateemi hi aseeri ki khabar

mere baba ke zuljana...


is khaak ke bistar pe mujhe sona padega

kya neendh mujhe aayegi tune nahi socha

jaagungi shab o roz yehi keh keh kar

mere baba ke zuljana...


chaadare cheenenge layeen qaime jala kar

ammu ko bulaungi kabhi baba ko rokar

cheenenge udoo jab mere kaano se gohar

mere baba ke zuljana...


ay shadman mazhar bhi likhe kaise wo manzar

dam toda qalam ne bhi isi baat ko likh kar

baba jo nahi hai to jiyun mai kyunkar

mere baba ke zuljana...