mehman hai chand roz ki zehra abalhasan
hai aap ke hawaale ye kunba abalhasan
ranj o alam masayeb o furqat wo siskiyan
sab khatm hone waali hai zehra ki saqtiyan
lene ko aane waale hai baba abalhasan
hai aap ke hawaale ye kunba abalhasan
mehman hai chand roz ki...
takleef mere rone se ummat ko thi badi
shikwa tha sab ko girya e zehra se ya ali
soyega ab sukoon se madina abalhasan
hai aap ke hawaale ye kunba abalhasan
mehman hai chand roz ki...
dar par lagi thi aag har ek samt tha dhuan
deewar o dar ke fatema zehra thi darmiyan
meri madad ko koi na aaya abal hasan
hai aap ke hawaale ye kunba abalhasan
mehman hai chand roz ki...
jab ho raha tha mujhpe musalsal sitam shadeed
pehlu shikasta hogaya mohsin huwe shaheed
maa bhi na keh saka mera baccha abalhasan
hai aap ke hawaale ye kunba abalhasan
mehman hai chand roz ki...
lagti hai pyaas sakht mere dil ke chain ko
raaton mein uth ke pani pilaana hussain ko
hove na uspe pyaas ka ghalba abalhasan
hai aap ke hawaale ye kunba abalhasan
mehman hai chand roz ki...
shehzadiyon se mere na hargiz ho be-khabar
meri judaai ka kabhi un par na ho asar
samjhe na khud ko wo kabhi tanha abalhasan
hai aap ke hawaale ye kunba abalhasan
mehman hai chand roz ki...
kamsin hai ghar mein maa ki jo mehsoos ho kami
taareekiyon mein shab ki khudara kabhi kabhi
bacchon ko meri qabr pe laana abalhasan
hai aap ke hawaale ye kunba abalhasan
mehman hai chand roz ki...
ye ilteja hai aap se ay sher e zuljalaal
ghusl o kafan ke saath ho is baat ka khayaal
shab mein hi uthay mera janaza abalhasan
hai aap ke hawaale ye kunba abalhasan
mehman hai chand roz ki...
altaf ye wasiyatein zehra ka tha bayan
safdar jo sun ke rote thay moula e do jahan
bibi ne marte waqt pukaara abalhasan
hai aap ke hawaale ye kunba abalhasan
mehman hai chand roz ki...