Kanz e Aza

Barchi ki Ani Qabr

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Altaf Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

asghar ka laasha dhoondte phirte thay jab udoo

naize chubho chubho ke sar e dasht char soo

ek baar goonji dashte bayaban mein ye sada

baba jaan baba jaan baba jaan baba jaan


barchi ki ani qabr talak aayi hai baba

asghar ne bhi seene pe sina khaayi hai baba


jab asr ko sab chaahne waale gaye maare

nusrat ko chala jhoole se haathon pe tumhare

hal min ki sada ran mein mujhe laayi hai baba

barchi ki ani qabr talak...


waqif thay sitamgar bhi meri tashnalabi se

hai pyaas bujhayi meri ek teer chala ke

sadaat pe ummat ne jafa dhaayi hai baba

barchi ki ani qabr talak...


tay kar ke chala dasht se jab teer ki manzil

paywast hua naize mein nanha sa mera dil

tadpaya badan rooh bhi tadpayi hai baba

barchi ki ani qabr talak...


seene ko lahoo kar diya zaalim ki sina ne

manzar ye magar dekh liya qaime se maa ne

taqdeer meri maa ko kahan laayi hai baba

barchi ki ani qabr talak...


is waqt qayamat hui maidan mein barpa

wo neem hua naize se jab mera kaleja

yaade ali akbar ye mujhe aayi hai baba

barchi ki ani qabr talak...


laashe ko lehad se meri naize pe utha kar

aada ne chalaya mere halqoom pe khanjar

ghurbat ki ghata kaise yahan chaayi hai baba

barchi ki ani qabr talak...


khoon naize pe rota tha ye sun kar sar e sarwar

altaf sada dete thay jab naize se asghar

asghar ne bhi seene pe sina khaayi hai baba

barchi ki ani qabr talak...