baysheer mere aaja tujhe lori sunaungi
apne ali asghar ko godhi may sulaungi
ay laal tasavvur may de de ke tujhe lori
maqtal may tere khaali jhoole ko jhulaungi
baysheer mere aaja...
milne ke liye maa se kuch dayr ko aajao
mujh dukhiya pe kya guzri sab haal sunaungi
baysheer mere aaja...
jaate huwe qaime se jo tu ne kiye beta
un tere isharon ko mai bhool na paungi
baysheer mere aaja...
gar fauje sitam aayi aur cheeni meri chadar
is dasht e bayaban may mai kis ko bulaungi
baysheer mere aaja...
aana ho agar mushkil awaaz do maadar ko
maqtal se tumhe lene mai khud chali aaungi
baysheer mere aaja...
godhi may tujhe le kar mai socha ye karti thi
is sher ko mai apne abbas banaungi
baysheer mere aaja...
ye kehte huwe gohar ghash kar gayi wo maadar
mai tere bina asghar waapas nahi jaungi
baysheer mere aaja...