in jhakde huwe haathon ki qasam
ghazi ki behan ka waada hai
matam hoga matam hoga
ye zainab ne elaan kiya
bazaron may darbaron may
ghazi ka mere matam hoga
bazaron may darbaron may
na taqt raha na taaj raha
na zulm raha na raaj raha
ek shor hai matamdari ka
bazaron may darbaron may
ye zainab ne elaan...
na qaatil na baatil hai
ay dunya aa ke dekh zara
shabbir ke matam ki hai sada
bazaron may darbaron may
ye zainab ne elaan...
hum thok ke seena kehte hai
hum rukne nahi denge matam
har haal may ye matam hoga
bazaron may darbaron may
ye zainab ne elaan...
ye seene nahi deewarein hai
ye haath nahi talwarein hai
lo aa gaya lashkar zainab ka
bazaron may darbaron may
ye zainab ne elaan...
o shaamiyon himmat hai roko
mazloom behan ko bhai ka
hum dene aaye hai pursa
bazaron may darbaron may
ye zainab ne elaan...
de hukm agar tu shehzadi
ye behte huwe ashkon ki qasam
hum khoon ka bichade farshe aza
bazaron may darbaron may
ye zainab ne elaan...
is shaam ke is bazaar se hi
ye keh kar guzri thi zainab
ghazi ka alam lehrayega
bazaron may darbaron may
ye zainab ne elaan...
paband e rasan majboor hoo mai
ay shiyon khule ho haath to phir
shabbir ka tum matam kar lo
bazaron may darbaron may
ye zainab ne elaan...
zainab ki tamanna hai gohar
ho aisa qayamat ka matam
khud dekhne aaye karbobala
bazaron may darbaron may
ye zainab ne elaan...