Kanz e Aza

Bekason ka Khaafla

A noha for Darbaar e Shaam, written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

bekason ka khaafla hai shaam ka bazaar hai

khwahar e abbas e ghazi khaafla salaar hai


kyun na rone ki sada aaye dar o dewaar se

berida saydaniya hai aur bhara darbar hai

bekason ka khaafla hai...


kis tarha maange ghulamo se bhala abid rida

ye hai ghazi ka bhatija aur bada khuddaar hai

bekason ka khaafla hai...


yun hikharat se na dekho sayyed e sajjad ko

ye koi muflis nahi kaunain ka sardar hai

bekason ka khaafla hai...


khaak sar pa taaziyano ke nishan hai pusht par

tauq hai zanjeer hai aur abid e bemaar hai

bekason ka khaafla hai...


ya elaahi kaise guzrega ye naazon ka pala

paaon may chaale pade hai raasta pur khaar hai

bekason ka khaafla hai...


taaziyane mat lagao mat satao zaalimo

ye bhaot zakhmi bahot pyasa bahot bemaar hai

bekason ka khaafla hai...


chup hai abid ghamzada ghabra rahi hai bibiyan

ab bahot nazdeek shayad shaam ka darbar hai

bekason ka khaafla hai...


keh raha hai shaah ki aankhon se khoon behta hua

shaam ke bazaar ki manzil bahot dushwaar hai

bekason ka khaafla hai...


jo gharana lut gaya tha dasht may gohar kabhi

aaj wohi do jahan ka maalik o mukhtar hai

bekason ka khaafla hai...