Kanz e Aza

Berida Shaam ke

A noha for Darbaar e Shaam, written by Mubarak Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

berida shaam ke bazaar mein jaati hai behan

aankhein abbas khuli mat rakhna


bhai is chand se chehre ko na lag jaye grahan

aankhein abbas khuli mat rakhna


teri ghairat ye gawara na karegi bhaiya

sab tamashayi hai aur bhai behan be-parda

badti jaati hai ay abbas kaleje mein chuban

aankhein abbas khuli mat rakhna

berida shaam ke bazaar...


tumko abbas bahot tha mere parde ka khayaal

aa gaya shaam ka bazaar aur zainab hai nidhaal

tere marne se badi zainab e kubra ki thakan

aankhein abbas khuli mat rakhna

berida shaam ke bazaar...


ay wafadaar sakina ka gala jakda hai

ashk ke badle teri aankh se khoon behta hai

hoga ye ranj bhatije ke hai haathon mein rasan

aankhein abbas khuli mat rakhna

berida shaam ke bazaar...


thodi hi dayr ko rukta tera sar naize par

be-rida sab mera sar dekh ke phir tera sar

khauf hai soch ke rukh jaye na dil ki dhadkan

aankhein abbas khuli mat rakhna

berida shaam ke bazaar...


ek ghatri mein hamein laash mili qasim ki

dasht mein baad tere aisi qayamat tooti

ran mein pamaal hua is tarha naushaah ka tan

aankhein abbas khuli mat rakhna

berida shaam ke bazaar...


boli zainab ke sakina ki rida aayi hai

na yateema hai na zinda mera bhai hai

thi wo rehan o mubarak to ajab si uljhan

aankhein abbas khuli mat rakhna

berida shaam ke bazaar...