Kanz e Aza

BERIDA ZAINAB KHADI HAI SHAAM KA DARBAR HAI

A noha for Darbaar e Shaam, written by Akhtar Zaidi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Aalame ghurbat me Aale Ahmed-e Muatar hai

Ab na lashkar hai na Abbase Alambardar hai

Haay kya badli huwi ab waqt ki raftar hai

Saamne rakha huwa Farge Shahe Abrar hai


Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai


Zulm hai kursi nashi'n Kunba Nabi ka hai khada

Aur ek Bimar hai zanjeer me Jakda huwa

Hain rasan me Sabke shaane aur Sakina ka Gala

Haay Bachchi ke liye ab saans lena baar hai


Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai


Tasht me rakha huwa hai Baap ka Sar saamne

Saans rukti hai tadapti hai jo Knwahar saamne

Khoon me doobe huwe hain kitne manzar saamne

Kis qadar zakhmi Nigaahe Abide Bimar hai


Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai


Gham zada Maadar ki ankhon me andhera chha gaya

Noujawa'n Bete ka Sar darbar me laya gaya

Jaane Laila se ye manzar Kis tarah dekha gaya

Kaisi Ghurbat me Shabihe Ahmed-e Muatar hai


Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai


Wo Ali Asghar ka Sar jaise koi Taaza kali

Maadare Beshir ki jis dam nazar Uspar padi

Godh me lekar Sulaane ki tamanna jaag uthi

Haath rassi me bandhe hain Maa bohut lachar hai


Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai


Har ghadi Nazro'n keaage ek Qayamat hai nai

Sar pa Bhai ke Bahan ki hai nazar thehri huwi

Hont wo Shabbir ke aur daste zalim me chhadi

Ye Bahan ke Dil pa ek chalti huwi talwar hai


Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai


Kaisa kaise dukh sahe darbar me Hamsheer ne

Gardan-e Bimar ko zakhmi kiya zanjeer ne

Apni Ankhen bandh karli hain Sare Shabbir ne

Bandh aankhon me magar ek hasrate Deedaar hai


Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai


Yaad aata hai Madine se safar ka wo sama

Tha wo Abbase Jari Ahle Haram ka Paasba'n

Sar parasti ko Hussain Ibne Ali Zehra ki Jaa'n

Abto ghurbat hamsafar hai rasta dushwaar hai


Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai


Paasba'n baaqi nahi'n koi nahi'n ab Aasra

Fatima ki Betiyon par waqt kaisa aagaya

Dil yehi kehta hai Akhtar ab Ali ko de'n Sada

Aapki Beti Ko Moula Ek Rida Darkaar Hai


Berida Zainab Khadi hai shaam ka darbar hai