Kanz e Aza

Bismillah Alamdar

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Akhtar Zaidi. Lyrics in Roman Urdu.

subhe ashoor puakre ye shahe karbobala

kahan ho baazu e shabbir sakina ke chacha

aaya shabbir ki awaaz pe wo rab e wafa

sheh pukare ay mere bhai ay baba ki dua

fatema zehra ki ummeed bano

afsar e lashkar e tauheed bano

abbas abbas abbas bismillah

bismillah alamdar bismillah alamdar


afsar e fauj e khuda

bismillah alamdar bismillah alamdar

aks e shaahe la fataa

bismillah alamdar bismillah alamdar

alamdar alamdar alamdar

alamdar alamdar alamdar


afsar kabhi aisa kisi lashkar ne na paaya

rutba kabhi aisa kisi safdar ne na paaya

misle hyder koi jarraar kahan milta hai

aap ke jaisa alamdar kahan milta hai

mere baba ke zabardast pisar

ay mere bhai mere zor e kamar


abbas abbas abbas bismillah

bismillah alamdar bismillah alamdar

alamdar alamdar alamdar

alamdar alamdar alamdar


sheh bole ye farman e khuda wande jali hai

farzand e nabi mai hoo tu farzand e ali hai

tu agar noor e jali hai to jali ban ke dikha

baith ash'al pe zamane ko ali ban ke dikha

maut ko aagayi ye sun ke qaza

choom kar ghazi ko sarwar ne kaha


abbas abbas abbas bismillah

bismillah alamdar bismillah alamdar

alamdar alamdar alamdar

alamdar alamdar alamdar


sultano ke sultan ne waliyon ke wali ne

maanga hai tumhe apne duaon mein ali ne

parchame azmate tauheed ke haqdaar ho tum

mai hoo meyaar e khuda aur mera meyaar ho tum

badr mein arsh se utra jo alam

saumpte hai wo tumhe aaj se hum


abbas abbas abbas bismillah

bismillah alamdar bismillah alamdar

alamdar alamdar alamdar

alamdar alamdar alamdar


dam kis mein hai nazron se teri nazrein milaye

haibat teri toofanon ko khaatir mein na laaye

tu agar chaahe to baazi ko palat sakta hai

jumbish e abru se kaunain ulat sakta hai

aao baba ki zira bhi pehno

dosh par unki abaa bhi pehno


abbas abbas abbas bismillah

bismillah alamdar bismillah alamdar

alamdar alamdar alamdar

alamdar alamdar alamdar


seh paaunga kaise mai bhala teri judaai

kis dil se kardun tujhe ruqsat mere bhai

jao ab binte payambar se basharat lelo

jisne paala hai tujhe us s e ijazat lelo

maa ne haathon se jo kurta tha siya

kehna shabbir ne wo maang liya


abbas abbas abbas bismillah

bismillah alamdar bismillah alamdar

alamdar alamdar alamdar

alamdar alamdar alamdar


sun kar ye bayan zainab e muztar ne sada di

pardes mein ye kaisi khabar haye suna di

kyun kar dil e umeed jahan tod rahe ho

sunti hoo ke ab tum bhi hamein chod rahe ho

aur phir bibi ne ro kar akhtar

ek taweez yun baandha keh kar


abbas abbas abbas bismillah

bismillah alamdar bismillah alamdar

alamdar alamdar alamdar

alamdar alamdar alamdar