Kanz e Aza

Bujh gayi pyaas chacha

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Bujh gayi pyaas chacha

Bujh gayi pyaas chacha laut k ghr me aao,laut k gr me aao...

Poori kar do ye dua,laut k ghr me aao..

1.Jaanti hoo ki kate aapke baazu ran mein

Aap k baad bacha kya hai mere daman mein

Kuch nahi karti gila,  x2


Laut k ghar me aao..


2.Hote jaate hai bohot shaam k gehre saaye

Koi bhi ghar me nahi kaun mujhe behlaaye

Tumko deti hoon sada,   x2


Laut k ghar me aao...


3.Mujhko maloom na tha door watan se aakar

Aap so jaaenge darya pe alam lehraakar

Lo chacha din bhi dhala,   x2


Laut k ghar me aao..


4.Ai chacha dekhiye chinti hai phupi ki chaadar

Bhai sajjad ka khecha hai laeen ne bistar

Kya nahi tumko pata,  x2


Laut k ghr me aao..


5.Maa ye kehti hai k hum qaid bhi honge ammu

Chin gayi baaliya khaaye hai tamaache ammu

Dekho daaman bhi jala,  x2


Laut k ghar me aao..


6.Nanhe jhoole me kabhi godd me madar k kabhi

Dekhti hoo k mahak paaun kahi asgar ki

Saath asgar ke chacha,  x2


Laut k ghar me aao..


7.Roke zainab ne kaha baali sakina meri

Be-chacha aur be-padar hona hai kismat teri

Kisko deti hai sada,   x2


Laut k ghar me aao...


8.Shaam se aaj bhi zaair jo koi aata hai

Saath rehan wo paigaam yahi laata hai, Mai hoon zindaan mein chacha,    x2


Laut k ghar me aao...