Bula kar sab ko hazrat ne kaha aye karbala waalo
Hame darkaar hai thodi si jaa aye karbala waalo
Iraada hai isi jungle me apna ghar basaae hum
Na ho ta hashr ab tumse juda ae karbala waalo
qudara marne waalo ki na roko raah rehne do
Mujhe laayi hai yaa’n meri qaza hai karbala waalo
Rahegi taaba chelhum laash be ghuslo kafan sab ki
Mere naamoos honge berida aye karbala waalo
Mai chhup jaaunga gar ek ek mutthi qaak daaloge
Yuhi’n ban jaaega marqad mera aye karbala waalo
Hamari qabr par aana to do aansu baha jaana
Mile fursat to padhna faateha aye karbala waalo
Mohib aaye jo baade marg bekas ki ziaarat ko
Bata dena unhe’n mera pata aye karbala waalo
Ajab ghurbat hai apni aisi ghurbat par watan sadqe
Jaha’n paae’n hum apna mud’dua aye karbala waalo
Milega chain baade marg bhi mujh ko na turbat me
hilega hashr tak madfan mera aye karbala waalo