bulwaaiye baba ya aaiye baba
soughra ko wo mu chand sa dikhlaaiye baba
tang aa gaya jee roz dawa peene se mera
ab sharbate deedaar bhi pilwaaiye baba
qurban gayi bhai ke ya ammu ke haatho
khat bhej ke jaldi mujhe bulwaaiye baba
choukhat mera takya hai zamee'n ka hai bichona
chootega agar aap ise chudwaaie baba
sab ahle mohalla mujhe rone nahi dete kyu rok te hai aap hi puchwaaiye baba
kisse kahu koi nahi faryaad ko sunta
dil dil ki lagi ko meri samjhaaiye baba
kya qoob ho aap aaye ho aur fatima mar jaaye
qud apne hi hatho mujhe dafnaaiye baba