sar jhukaye baithi hai chaar saal ki bacchi
pani ko tarasti hai chaar saal ki bacchi
sab buzurg hasrat se dekhte hai chehre ko
soghwaar baithi hai chaar saal ki bacchi
sar jhukaye baithi hai...
dete hai tasalli sab kya rabab kya zainab
jis ke paas jaati hai chaar saal ki bacchi
sar jhukaye baithi hai...
apne baap ka laasha raat ke andhere mein
dhoondne nikalti hai chaar saal ki bacchi
sar jhukaye baithi hai...
karwatein badalti hai uski laash maqtal mein
jis ka naam leti hai chaar saal ki bacchi
sar jhukaye baithi hai...
maut ki sadaon ne itna dil dukhaya hai
aahaton se darti hai chaar saal ki bacchi
sar jhukaye baithi hai...
goshwaar chinte hai aur tamache lagte hai
girti hai sambhalti hai chaar saal ki bacchi
sar jhukaye baithi hai...
ek pahaad bano ke dil pa aur tootega
lo jahan se uth'ti hai chaar saal ki bacchi
sar jhukaye baithi hai...
kal tha baap ka seena waalida ka aanchal tha
ab lehad mein soti hai chaar saal ki bacchi
sar jhukaye baithi hai...
ab ye haal hai ishrat peet'ti hai sar bano
jab bhi yaad aati hai chaar saal ki bacchi
sar jhukaye baithi hai...