Kanz e Aza

Ghar Lut Gaya Rasool

A noha written by Ishrat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

ghar lut gaya rasool ka amma ab aayi ho

bhai shaheed hogaya amma ab aayi ho


zainab ka ye bayaan tha amma ab aayi ho

ghar lut gaya rasool ka...

bhai shaheed hogaya...


kaise bataye qasim e nausha ki dastaan

bikhre pade hai phool zameen par yahan wahan

zainab ka ye bayaan tha amma ab aayi ho

ghar lut gaya rasool ka...

bhai shaheed hogaya...


atthara saal paala tha jisko khushi khushi

qurban wo bhi kar gaya sarwar pa zindagi

zainab ka ye bayaan tha amma ab aayi ho

ghar lut gaya rasool ka...

bhai shaheed hogaya...


jo ghutniyo bhi chalne ka khaabil abhi na tha

wo bhi qaza ke haathon se bejaan hogaya

zainab ka ye bayaan tha amma ab aayi ho

ghar lut gaya rasool ka...

bhai shaheed hogaya...


bhai pa mere laal bhi qurban ho gaye

qabza kiya furaat par be-aab so gaye

zainab ka ye bayaan tha amma ab aayi ho

ghar lut gaya rasool ka...

bhai shaheed hogaya...


karbobala may aa ke uthayi wo saktiyan

cheeni gayi sakina ke kaano se baaliyan

zainab ka ye bayaan tha amma ab aayi ho

ghar lut gaya rasool ka...

bhai shaheed hogaya...


zehra ye sochti rahi zainab ke bain par

kya kya sitam huwe hai hamare hussain par

zainab ka ye bayaan tha amma ab aayi ho

ghar lut gaya rasool ka...

bhai shaheed hogaya...


ye bain kis zaban se ishrat karun raqam

ye likhte likhte ashq bahane laga qalam

zainab ka ye bayaan tha amma ab aayi ho

ghar lut gaya rasool ka...

bhai shaheed hogaya...