Kanz e Aza

Keh Rahe Thay Ye

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Ishrat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

keh rahe thay ye sarwar khat likha hai sughra ne

ay jamaal e paigambar khat likha hai sughra ne

tumko ay ali akbar khat likha hai sughra ne

keh rahe thay ye...


kehna ye sakina se kab palat ke aaogi

apni mohini surat kab hamein dikhaogi

tumko ay ali akbar khat likha hai sughra ne

keh rahe thay ye...


tum hamari jaanib se pyar karna asghar ko

jab palat ke ghar aana saath laana asghar ko

tumko ay ali akbar khat likha hai sughra ne

keh rahe thay ye...


mustaqil madine ki das rahi hai tanhaai

jald aao ay bhai jald aao ay bhai

tumko ay ali akbar khat likha hai sughra ne

keh rahe thay ye...


ab to chal raha ho ga ghutniyo mera asghar

khairiyat sakina ki khat mein bhej do likh kar

tumko ay ali akbar khat likha hai sughra ne

keh rahe thay ye...


khatm jab hui tehreer keh rahe thay ye sarwar

ab hamari gardan par hoga shimr ka khanjar

tumko fatema sughra kya jawab mein likhun

keh rahe thay ye...


barchiyon se chalni hai seena e ali akbar

hurmula ke naawak se mar gaya mera asghar

tumko fatema sughra kya jawab mein likhun

keh rahe thay ye...


ek din ki byahi ka ran mein mar gaya shauhar

mera quwwat e baazu so raha hai darya par

tumko fatema sughra kya jawab mein likhun

keh rahe thay ye...


jab na ran mein hum honge berida haram honge

karbala se kufe tak mustaqil sitam honge

tumko fatema sughra kya jawab mein likhun

keh rahe thay ye...


bekasi e sarwar ko kya bayan kare ishrat

ghair hoti jaati thi kehke shaah ki haalat

tumko fatema sughra kya jawab mein likhun

keh rahe thay ye...