Kanz e Aza

Kehti Thi Yehi Jeene

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Zafar. Lyrics in Roman Urdu.

kehti thi yehi jeene se bezaar hai sughra

kehde koi akbar se ke bemaar hai sughra


lene ke liye bhai ko bheja nahi ab tak

baba ko khabar di hai ke lachaar hai sughra

kehde koi akbar se ke bemaar hai sughra

kehti thi yehi jeene se...


jee bhar ke abhi dekhlo tum chehra e akbar

phir bhai se milna bada dushwaar hai sughra

kehde koi akbar se ke bemaar hai sughra

kehti thi yehi jeene se...


akbar se kahe aaye mujhe lene ko jaldi

ay baba safar ke liye tayyar hai sughra

kehde koi akbar se ke bemaar hai sughra

kehti thi yehi jeene se...


wo shehre madina jahan aksar hai musalman

tanha shahe waala ki azadar hai sughra

kehde koi akbar se ke bemaar hai sughra

kehti thi yehi jeene se...


har waqt lagi rehti hai darwaze pe nazre

is karbe musalsal may giraftar hai sughra

kehde koi akbar se ke bemaar hai sughra

kehti thi yehi jeene se...


kya aagayi awaaze azane ali akbar

kis ranj o musibat may giraftar hai sughra

kehde koi akbar se ke bemaar hai sughra

kehti thi yehi jeene se...


shabbir ka sar kat gaya abbas ke baazu

ab zainab-o-kulsum hai darbar hai sughra

kehde koi akbar se ke bemaar hai sughra

kehti thi yehi jeene se...


acha hi hua tum na gayi saath safar may

maa behne hai aur shaam ka bazaar hai sughra

kehde koi akbar se ke bemaar hai sughra

kehti thi yehi jeene se...


sughra se kahe kaun zafar margaya wo bhi

jis asghare nadan se tujhe pyar hai sughra

kehde koi akbar se ke bemaar hai sughra

kehti thi yehi jeene se...