asghar ko jaga de koi
akbar ko bata de koi
bemaar behan ne khat mein
sab haal e zaar likha hai
akbar ko duaein di hai
asghar ko pyar likha hai
bemaar behan ne khat mein
sab haal e zaar likha hai
sughra ne na poocho khat mein
kya kya tehreer kiya hai
poocha hai har ek bhai ko
zikre hamsheer kiya hai
kyun bhol gaye dukhiya ko
sab rishtedaar likha hai
bemaar behan ne khat mein...
bhaiya ne khoob behan ki
ulfat ka karz chukaya
pardes mein jaa kar apna
waada bhi yaad na aaya
lene ko na aaye akbar
shikwa har baar likha hai
bemaar behan ne khat mein...
jis din se aap gaye hai
udti hai khaak watan mein
kab jaane bahaar aayegi
umeed ke is gulshan mein
baba hai akele ghar mein
jeena dushwaar likha hai
bemaar behan ne khat mein...
furqat mein jhula kar asghar
khaali tera gehwara
yaadon mein teri sughra ka
kat jaata hai din saara
nanhe se musafir tujh par
sadqe sau bar likha hai
bemaar behan ne khat mein...
itni si dabe lafzon mein
sughra ne jasarat ki hai
ammu se gila furqat ka
baba se shikayat ki hai
kyun bhool gaye gurbat mein
sab zimmedar likha hai
bemaar behan ne khat mein...
jab aun o mohamed mujhko
tanhaai mein yaad aate hai
do chand se chehre
meri nazron mein samaa jaate hai
kab hoga na jaane unka
mujhko dedaar likha hai
bemaar behan ne khat mein...
kyun door watan se jaa kar
saare ehbaab base hai
aankhon mein mere bhaiya ki
shadi ke khwaab saje hai
karti hoo khayalon mein mai
sehra tayyar likha hai
bemaar behan ne khat mein...
padte hai shahe deen jab khat
har laash tadap jaati hai
qasim ko hijab aata hai
akbar ko haya aati hai
kya koi nahi hai baba
mera ghamkhwar likha hai
bemaar behan ne khat mein...
ek baap ne aamir o akhtar
mushkil se jigar ko thaama
akbar ki laash pe rakha
ye keh ke behan ka naama
khud uth ke maseeha padh le
haal e bemaar likha hai
bemaar behan ne khat mein...