lut gaya hussain lut gaya hussain
khatm ho gaya khatm ho gaya
ek din mein sab hussain ka ghar khatm ho gaya
zehra ki hasraton ka safar khatm ho gaya
ran mein hassan ke laal ko pamaal kar diya
is gham ne ek maa ka bura haal kar diya
rehwaar ke sumon mein pisar khatm ho gaya
khatm ho gaya...
ek lassh aane waali hai khud ko sambhalna
kis ke liye sajaye ho chota sa paalna
bano tumhara noore nazr khatm ho gaya
khatm ho gaya...
barchi ki zad se seena e akbar na bach saka
afsos hum shabhi e payambar na bach saka
laila teri dua ka asr khatm ho gaya
khatm ho gaya...
zainab ke dil pa kohe masayib gira diye
maqtal mein do charagh ajal ne bujha diye
ek maa ki godh lut gayi ghar khatm ho gaya
khatm ho gaya...
ye roshni hai shaam e ghariban qaraar ki
pehchan ab to dekh ke surat sawaar ki
zainab ghubaar e raah guzar khatm ho gaya
khatm ho gaya...
ye keh ke ashk aankhon se sarwar ki beh gaye
abbas jaate jaate hamay bhai keh gaye
ab shikwa e khameeda kamar khatm ho gaya
khatm ho gaya...
laashe pe bekasi hai shahe mashraqin ke
tan par libaas tak bho na choda hussain ke
ay karbala shaoor e bashar khatm ho gaya
khatm ho gaya...
wo gham tha umr kat gayi ranj o malaal mein
baba ko itna roye hai chalees saal mein
abid ka saara khoone jigar khatm ho gaya
khatm ho gaya...
maqbooliyat ko aamir o akhtar ye kam nahi
wo kaunsi hai aankh jo majlis mein nam nahi
nauhe mein kaise keh dein asar khatm ho gaya
khatm ho gaya...