na jee payegi fizza
zainab na tujhe chod ke jee payegi fizza
ro ro ke teri qabr pe mar jayegi fizza
zainab na tujhe...
bibi tujhe maine kabhi tanha nahi choda
hadh ye hai masaib mein bhi rishta nahi toda
nauha yehi turbat pa padi jayegi fizza
zainab na tujhe...
dushwar hai pardes mein is gham ka uthana
mat aalam e ghurbat mein mujhe chod ke jaana
kya jaake watan walon ko batlayegi fizza
zainab na tujhe...
zakhmon se tapakta hai abhi khoon badan pe
kaala hai abhi neel bhi shano mein rasan ke
kis tarha kafan laash ko pehnayegi fizza
zainab na tujhe...
na dil ko sukoon hai na tasalli hai zara si
dunya se sidhaari hai mohamed ki nawasi
sar peet ke turbat pe ye chillayegi fiiza
zainab na tujhe...
pardes mein ye kis ki nazar kha gayi bibi
mai zinda rahi tumko ajal aagayi bibi
ye daur judaai ka na seh payegi fizza
zainab na tujhe...
phir qabr se awaaz ye aayi kayi baari
is zor se turbat pa na kar girya o zaari
amma meri turbat mein tadap jayegi fizza
zainab na tujhe...
in zakhmon ka akhtar kabhi marham na milega
kaabe ki zameen aur kabhi arsh hilega
jab jab bhi masaib tere dohrayegi fizza
zainab na tujhe...