nabi ki fikr ali ka jalaal hai zainab
na hoti ye to adhoori thi karbala e hussain
buland ab bhi fiza mein hai ye sada e hussain
yehi to hai ba-khuda baani e aza e hussain
meri shareek mera ham khayal hai zainab
nabi ki fikr ali ka jalaal...
qadam qadam pe musibat hai aur pareshani
shikast zulm ke haaton magar nahi maani
aseer kunbe ki karti rahi nigehbani
jawan hai azme faza phir nidhaal hai zainab
nabi ki fikr ali ka jalaal...
hussain charke sadaqat ye aaftabe wafa
hussain deen ki baqa hai hussainiyat ki baqa
dayare koofa o darbare shaam mein ba-khuda
namoona e asade zuljalaal hai zainab
nabi ki fikr ali ka jalaal...
watan se door gham o aansu aur bechaini
na poochiye ke ghareebul watan pe kya guzri
uthaye kis tarha zindan e shaam ki sakhti
aseer zulm sitam khastajan hai zainab
nabi ki fikr ali ka jalaal...
nigahe dehr na dekhi na aisi qurbani
hua na saani e zehra ka phir koi saani
ghame hussain ki surat hai ye wila faani
baqa hussain ko hai la zawal hai zainab
nabi ki fikr ali ka jalaal...
hai sabr o shukr ka andaz sayyeda ki tarha
amal ki raah mein tewar hai murtaza ki tarha
sifaat o azm hai abbas ba-wafa ki tarha
hussain hi ki tarha be-misaal hai zainab
nabi ki fikr ali ka jalaal...
khuli jo aankh to sadma uthaya madar ka
shafiq baap ka sadma kabhi biradar ka
musafirat ne diya daagh phir bahattar ka
azal se hi ba-khuda pur malaal hai zainab
nabi ki fikr ali ka jalaal...