Kanz e Aza

Nabi ki Nawasi rida maangti hai

A noha for Shehzadi Zainab (s.a) (2018). Lyrics in Roman Urdu.

Haye sadaat, haye sadaat..(2)

Risalat ka logo sila maangti hai


nabi ki nawasi rida mangti hai


1. Ye ismat ki malka, ye bint e ali hai

jo pattharo ki barish mein kabse khadi hai

faqad do qadam raasta maangti hai


nabi ki nawasi rida mangti hai


2. Zibha hogaye iske be misl bhai

rasan mein kaha'n se kaha'n tak hai aayi

ye tumse ba-naame khuda maangti hai


nabi ki nawasi rida mangti hai


3. Karo nau charagho se roshan ye raahein

khudara jhuka lo ye apni nigaahein

bhala kya ye iske siwa maangti hai


nabi ki nawasi rida mangti hai


4. Nabi zaadiyo ko satate ho kyu tum

inhe naam lekar bulate ho kyu tum

ye marne ki apne dua maangti hai


nabi ki nawasi rida mangti hai


5. The farhan o qurbaan bibi ke jumle

mujhe mera bhai khule sar na dekha

ye kehke laee'n se rida maangti hai


nabi ki nawasi rida mangti hai