nadan ali asghar mere
tanhai mein hona na pareshan ali asghar
nadan ali asghar
jhoole ko jo chode ho to aa tujhko sawaroo
shish maah mujahid tere sadqe bhi utharoo
dil apna sambhalegi teri maa ali asghar
nadan ali asghar...
hal min ki sada sunte hi ay nasir e shabbir
kehte huwe labbaik giray farsh pe baysheer
ho roohe ali aayat e quran ali asghar
nadan ali asghar...
takte hai teri raah ali aur payambar
islam bachana hai tumhe khoon mein naha kar
hona hai tujhe deen pe qurban ali asghar
nadan ali asghar...
mil jayega ammu tera abbas wahin par
qasim bhi milega wahin mil jayega akbar
hone nahi denge tujhe naala ali asghar
nadan ali asghar...
do baara zibha kar diye jaoge meri jaan
faryad na karna pisar e shaah e shaheedan
baba hai tere faqre sulaiman ali asghar
nadan ali asghar...
athara baras ke tere bhaiya ki wo zarbat
baatil ke liye maut bana taaba qayamat
azaan e ali akbare zeeshan ali asghar
nadan ali asghar...
tujhko na mila doodh na ek boondh bhi pani
royegi teri yaad mein darya ki rawani
jaa tumpe hai qurban teri maa ali asghar
nadan ali asghar...
nauha padhe jab tere nazeer gham mein tadap kar
matam kare har ahle aza ashk baha kar
hai aashiq e na-cheez ke armaan ali asghar
nadan ali asghar...