Kanz e Aza

Nafraton ki Dhool se

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

nafraton ki dhool se chehra hata dekhega kaun

hum hai misle aaina humko bhala dekhega kaun


karbala se aaj tak aale rasool e paak par

jo pasay parda nahi hai karbala dekhega kaun

nafraton ki dhool se…


ghurbate to dekhte hai sab gulon se haar ke

wo jo inke darmiyan hai faasla dekhega kaun

nafraton ki dhool se…


ab na qasim hai na akbar hai na abbas e jari

dukhtare shere khuda ka hausla dekhega kaun

nafraton ki dhool se…


chal basi bali sakina ay alamdare hussain

ab dare zindan pe tera raasta dekhega kaun

nafraton ki dhool se…