aankhon se rawan ashk ka darya nahi dekha
har bache ne jalta hua qaima nahi dekha
yun jeet li abbas ne darya pe ladaayi
pani pa kahin phir kabhi pehra nahi dekha
aankhon se rawan...
kya noor ke paikar shab e ashoor jama thay
shamma to bujhi lekin andhera nahi dekha
aankhon se rawan...
islam to jaaga ali akbar ki azan se
aur iski jawani ne savera nahi dekha
aankhon se rawan...
akbar ke janaze pe qayamat ki ghadi thi
shabbir ko aisa kabhi rota nahi dekha
aankhon se rawan...
dekha tha kadi dhoop may bete ka janaza
laila ko kabhi saaye may baitha nahi dekha
aankhon se rawan...
kyun dekh ke roye na taqi apna bhara ghar
zehra ki tarha ghar koi ujda nahi dekha
aankhon se rawan...