aulaad e payambar pa ajab jor o jafa hai
zanjeer may jakdi hui ab aale aba hai
phir kar na sakega koi islam ko uryan
islam ab odhe huwe zainab ki rida hai
aulaad e payambar pa...
har ek ke sar par to nazar aati hai chadar
sar nange faqad khaafila e aale aba hai
aulaad e payambar pa...
wo shaam ke zindan may ye karbobala may
lagta hai ke sharminda bhatiji se chacha hai
aulaad e payambar pa...
oonton se giray tifl to koi na uthaye
ay saahib e aulaad kahin aisa hua hai
aulaad e payambar pa...
zindan ke khulne ki jo karti thi duayein
wo qabr may band hogayi zindan khula hai
aulaad e payambar pa...
phookon se mukhalif ki taqi kaise bujhegi
wo shamme aza jis ka nigehban khuda hai
aulaad e payambar pa...