bazaar e shaam may darbar e aam may
zainab ki sadayein aati thi
aa ghazi aa ghazi
zainab bula rahi hai awaaz to suna do
ay bawafa kahan ho bhai zara sada do
aa dekh teri behne bazaar may khadi hai
majma hai shamiyon ka chadar kahin se laa do
zainab bula rahi hai awaaz to suna do
ay bawafa kahan ho...
ahle haram ne ghazi kitna tujhe pukara
be-chain hai sakina chehra usay dikha do
zainab bula rahi hai awaaz to suna do
ay bawafa kahan ho...
in zaalimo ne mujhko sone nahi diya hai
saaye may tum alam ke kuch dayr ko sula do
zainab bula rahi hai awaaz to suna do
ay bawafa kahan ho...
darbar jaa rahe hai sajjad saarban hai
ghazi musibaton may kuch hausla badha do
zainab bula rahi hai awaaz to suna do
ay bawafa kahan ho...
mere ghazi mere bhaiya
shabbir ke ghamon ko ay door karne waale
qaidi bane khade hai azaad to kara do
zainab bula rahi hai awaaz to suna do
ay bawafa kahan ho...
mere ghazi mere bhaiya