azadarane imam e hussain
ali ki sher dil beti zainabe kubra
baazaron mein hussain ke baad
dar badar phirayi gayi
abbas ke behan ko jab khabar mili
bazaar e sham aagaya
bazaar e shaam ka hujoom
tamashaiyon ka hujoom
ali ki beti ne najaf ki taraf rukh kiya
be saakhta baba ali ko awaaz di
baba baba aray baba
hogayi berida waqt kaisa pada
sar khula hai mera baba shaam aagaya
kaun hai ab mera ay mere baba jaan
qaid hoo be-khata baba shaam aagaya
aap ko hai khabar kitni hairaan hoo
jaungi kis tarha mai pareshan hoo
bheed hai har taraf aur mai nange sar
aagayi be rida baba shaam agaya
hogayi berida...
be kafan bhai ko chod kar aa gayi
bhai aisa ke tha jo meri zindagi
jism karbal mein hai aur naize par sar
bhai ka hai chadha baba shaam agaya
hogayi berida...
kis se jaake bhala haale dil mai kahoo
baba imdaad ko ab sada kis ko doo
qatl ran mein huwe haye sher mere
jinka tha aasra baba shaam agaya
hogayi berida...
dil mein hasrat thi jo poori ho na saki
shadi akbar ki kab haye zainab ne ki
dil pe khaye sina mar gaya naujawan
dulha ban na saka baba shaam agaya
hogayi berida...
ghairat e sayyeda mai hoo binte ali
majma e aam mein aaj hoo mai khadi
dekh kar be-rida kyun na bhai mera
khoon roye bhala baba shaam agaya
hogayi berida...
har muhibbe ali us ghadi ro diya
jab ke imran ne nauha danish padha
shaam mein aa gayi aap ki laadli
do mujhe hausla baba shaam agaya
hogayi berida...