ek roz roke fizza se zehra ne ye kaha
pehlu shikasta ho gaya tumko hai bas pata
ye raaz raaz rakhna ke tooti hai phasliyan
fizza meri musibatein karna na tum bayan
fizza na ye batana
pehlu hua shikasta fizza na ye batana
hyder se meri ghurbat lillaah tum chupana
fizza na ye batana
pehlu hua shikasta tum ko bhi na bataati
zehra tumhe madad ko hazrgiz na phir bulaati
mushkil agar na hota dar ko mera uthana
fizza na ye batana
pehlu hua shikasta...
jab se hua hai fizza pehlu mera shikasta
pehlu se haath mera uth'ta nahi hai fizza
bachon ko chaahti hoo apne galay lagana
fizza na ye batana
pehlu hua shikasta...
deewar o dar may pis kar mohsin bhi mar gaya hai
tooti hai phasliyan sab darwaza yun gira hai
ye raaz raaz rakhna bachon se bhi chipana
fizza na ye batana
pehlu hua shikasta...
pehlu ka dard mujhko har aan maarta tha
pehlu ke tootne se mushkil tha saans lena
tadpi hoo dard se mai kitna nahi batana
fizza na ye batana
pehlu hua shikasta...
be parda shaamiyon may jayegi meri beti
tum aaj se ay fizza goya ke maa ho iski
zainab ke saath tumko bazaar bhi hai jaana
fizza na ye batana
pehlu hua shikasta...
tum jaanti ho fizza lagti hai pyaas usko
mera hussain shab may awaaz de jo mujhko
pani mere pisar ko fizza tum hi pilaana
fizza na ye batana
pehlu hua shikasta...
badle ali ke shaami beti se meri lenge
jis waqt laadli ko pathar meri lagenge
zainab ke badle pathar fizza tumhe hai khaana
fizza na ye batana
pehlu hua shikasta...
danish rehan tumse razi rahenge hyder
kausar ka jaam denge tum ko ba-roze mehshar
zahra ki tum musibat har gaam par sunana
fizza na ye batana
pehlu hua shikasta...