Kanz e Aza

Gham Dil Pe Uthaye

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Abbas Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

haye zahra haye darbar


gham dil pe uthaye binte nabi darbar se wapas jaati hai

lab par hai fughan us bibi ke kaunain ki tu shehzadi hai


darbar e sitam mein ahle sitam haste thay meri haalat par

hasnain ke baba se ro kar shehzadi ye farmati hai

gham dil pe uthaye...


haq lene gayi thi jo apna athara baras ki bibi thi

kya uspe jafayein guzri jo baalon pe safedi chaayi hai

gham dil pe uthaye...


darbar mein us pe kya guzri kya ahle sitam ne zulm kiye

baba ki lehad pe shehzadi sab haal sunaane aayi hai

gham dil pe uthaye...


pehlu pe giraya darwaza mohsin ka diya gham bibi ko

ummat se nabi ki shehzadi ye ajre risalat paati hai

gham dil pe uthaye...


hai chaak gareban saare nabi aur sher e khuda hai khaak basar

ye kis ka janaza utha hai ye kaisi qayamat aayi hai

gham dil pe uthaye...


kaunain ke waali ke ghar se rone ki sadayein aati hai

khaak udti hai har ek taraf har simt udaasi chaayi hai

gham dil pe uthaye...


allah gawahi deta hai jis bibi ki sachayi ki

afsos ghulamon ne ashtar uski hi sanad jhutlayi hai

gham dil pe uthaye...