Kanz e Aza

Gham e Hussain Meray Dil Se Kum Na Ho

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Ya Murtaza Ali Mujhy Duniya Ka Gham Na Ho


Lakin Gham e Hussain Meray Dil Se Kum Na Ho


1) Khushiyoun Se Dor Hoker Jeeta Rahon Ga Moula

Is Gham Se Dor Hoker Jeena Sakon Ga Moula

Koi Khushi Naseeb Main Chahay Raqam Na Ho


Lakin Gham e Hussain Meray Dil Se Kum Na Ho


2) Wo Din Bhe Jald Aaye Aye Do Jahan Kay Sahib

Rota Howa Najaf Say Karb o Bala Ki Janib

Itna Chalo Kay Bs Mere Sanson Main Dum Na Ho


Lakin Gham e Hussain Meray Dil Se Kum Na Ho


3) Mushkil Kusha Tmhe Ko Main Manta Hoon Moula

Sb Pr Karam Keya Hai Yay Janta Hoon Moula

Beshak Mere Hayat Main Koi Karam Na Ho


Lakin Gham e Hussain Meray Dil Se Kum Na Ho


4) Shabeer Kay He Gham Say Milti Hai Dil Ko Rahat

Kab Mangta Hoon Moula Duniya Ki Badshahat

Beshak Meray Naseeb Main Jahohasham Na Ho


Lakin Gham e Hussain Meray Dil Se Kum Na Ho


5) Rotay Howay Sakina Kehnay Lagi Phuppi Say

Ro'on To Shimr Aker Maray Mujhy Tamachy

Kejay Dua Kay Ab Mere Yay Ankh Num Na Ho


Lakin Gham e Hussain Meray Dil Se Kum Na Ho


6) Chahay Jawan Lasha Baity Ka Main Uthao

Yaad e Hussain Lekar Mayyat Pe Uski Jao'n

Chalnay Ki Tab Khatam Ho Uthta Qadam Na Ho


Lakin Gham e Hussain Meray Dil Se Kum Na Ho


7) Shabeer Kay Leyay He Manga Hai Main Nay Ghazi

Ummul Banee Kay Lab Per Bs Ake Yay Dua The

Jab Tak Giyoun Mujhy Meray Ghazi Ka Ghum Na Ho


Lakin Gham e Hussain Meray Dil Se Kum Na Ho


8) Rehan Azmi Yay Kehnay Lagy Raza Say

Ro Ro Kay Aje Main Ny Manga Hai Murtaza Say

Duniya Main Meray Naam Ka Chahay Bharam Na Ho


Lakin Gham e Hussain Meray Dil Se Kum Na Ho