Kanz e Aza

Gham Mein Dooba Hooa Karbal ka

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Gham mein Dooba hooa karbal ka musafir dheka

Rotay Shabbir ko Zahra ki lehad par dheka


Apne sar maar ke deewar se roya Ghazi

Jab nabi zaadi ko aathe hooe bahar dhekha


Noor ankhon ka gaya qatilon se pooche Hussain

Koi batlaye kisi ne mera Akbar dekha


Ravi likhte hai ke sajjad ko jab hosh aya

Jalthe khaiyyam me zainab ko khule sar dheka


Door tak pehli hai qasim ki javani run mein

Dheyr tak doondhtha phir Sibte Payamber dheka


Mujh ko barbad khuda kerde ye bola paani

Sheh ke hathon me jo zakhmi ali asghar dehka