Kanz e Aza

Gham ye bano ko sada

A noha for Ali Asghar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Gham ye bano ko sada rulaayega, Tum ko laal kaise chain aayega

Koun jhoola tumhe jhulaayega , Tum ko laal kaise chain aayega

Teen din ki pyaas me ae meri jaa'n, beta qushk ho gayi teri zabaa'n

koun paani tumhe pilaayega, Tum ko laal kaise chain aayega


Dard hoga zaqm me to ro'oge, Qabr me bataao kaise so'oge

Koun lori tumhe sunaayega, Tum ko laal kaise chain aayega

Neend kaise aa gayi utho utho, beta raat ho gayi hai ghar chalo

soona dasht bhi tumhe daraaega, Tum ko laal kaise chain aayega


Kuch to badnaseeb maa se lo madad, Aansuo'n se tar karu'n kaho lahad

Koun aansu yaha'n bahaaega, Tum ko laal kaise chain aayega