Har ek matami majlis me roke kehta hai
Ghame Hussain dilo’n ko sukoon deta hai
Qasam khuda ki azadar e shahe karbobala
Is liye to kabhi be sukoo’n nahi rehta
Yeh kehke farshe aza ghar me woh bichata hai
Ye zindagi hai yehi dil yehi hai jaan meri
Ghame Hussain se barh kar nahi hai koi khushi
Yeh uska gham hai ke jiska sukoo’n Sakina hai
Agar yeh gham nahi hota to hum kidhar jaate
Jawaan beton ke laasho’n pe baap marjaate
Har ek gham me humara yehi sahara hai
Tumhei’n Hussain bulaaen jab apne roze per
Ay bawafa ke wafadaro’n dekhna jaa kar
Haram me baith ke kitna sukoon milta hai
Har ek hussaini yeh kehta hai khud zamane se
Na rok paaega koi yeh gham manane se
Isi ke waaste bibi ne humko manga hai
Zameen waalo’n ke humrah aasmaa’n waale
Ghame Hussain manate hai’n do jahaa’n waale
Naseeb waalo’n ko yeh gham naseeb hota hai
Karam yeh humpe hai Zeeshan aur karim e aza
Laqab mila hai humei’n bib Fatima ki dua
Baland itna bhala kab kisi ka rutba hai