qabr mein daaghe ghame sibte payambar legaye
hum andhere mein charagho ka ye lashkar legaye
phir na dekhe aasman ne aaj tak aise jari
karbala mein chunke sheh jaise bahattar legaye
qabr mein daaghe…
waah re qismat na choota mar ke dar shabbir ka
haq ke dabaani habib ibne mazahar legaye
qabr mein daaghe…
ek din ki thi alamdari e shaahe karbala
hashr tak ohda ye abbas e dilawar legaye
qabr mein daaghe…
zulfaqare hyderi jab farqe marhab par chali
ek nishani zarb ki jibreel ke par legaye
qabr mein daaghe…
baad sheh jab lootne aaye haram ko ashkiyan
dur sakina ke sare zainab se chadar legaye
qabr mein daaghe…
shaah kehte thay ke jeene ka maza jaata raha
zindagi ka lutf abbas e dilawar legaye
qabr mein daaghe…
khoon ke aansu bahati hi rahi binte ali
aur naize par layeen shabbir ka sar legaye
qabr mein daaghe…
yaad jab bache ki aati thi ko kehti thi rabab
maa ke dil ka chain apne saath asghar legaye
qabr mein daaghe…