Kanz e Aza

Ghamzada Sakina

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

ghamzada sakina pad rahi hai nauha

haye meri ghurbat haye meri ghurbat


itne chote sin mein mai hui yateema

haye meri ghurbat haye meri ghurbat


kamsini mein kha rahi hoon dar badar ki thokar

mere ammu jaan sogaye neher pe jaa kar

mera qasim na raha mera akbar na raha

koi monis na raha koi yawar na raha

shimr aa raha hai leke taaziyana

haye meri ghurbat...

ghamzada sakina...


jo bhi aa raha hai maarta hai taaziyane

kaun hai jo aayega sakina ko bachane

mera qasim na raha mera akbar na raha

koi monis na raha koi yawar na raha

jis pe tha bharosa jab wohi na aaya

haye meri ghurbat...

ghamzada sakina...


mera cheh mahine waala bhai bach na paaya

haye zaalimon ne usko maar daala pyasa

mera qasim na raha mera akbar na raha

koi monis na raha koi yawar na raha

kis tarha bhoolun bezuban ka chehra

haye meri ghurbat...

ghamzada sakina...


mere baap ka gala kata hai mere aage

ek din mein mera ghar luta hai mere aage

mera qasim na raha mera akbar na raha

koi monis na raha koi yawar na raha

mujhko bad naseebi ne ye din dikhaya

haye meri ghurbat...

ghamzada sakina...


ay jahan waalon usko chain kaise aaye

jiska baap ran mein bhooka pyasa maara jaye

mera qasim na raha mera akbar na raha

koi monis na raha koi yawar na raha

phat raha hai gham se ab mera kaleja

haye meri ghurbat...

ghamzada sakina...


chadarein bhi cheen kar ke le gaye sitamgar

aale mustafa ko maare jaa rahe hai pathar

mera qasim na raha mera akbar na raha

koi monis na raha koi yawar na raha

khoon mein tar batar hai aaj mera kunba

haye meri ghurbat...

ghamzada sakina...


aaj bhi sunayi de rahi hai wo karahein

duktare hussain ki wo dard naak aahein

mera qasim na raha mera akbar na raha

koi monis na raha koi yawar na raha

goonjta hai waiz aaj bhi ye nauha

haye meri ghurbat...

ghamzada sakina...